How To Make Right Decision Under Pressure | Drust Fasila Kasy karn?



How To Make Right Decision quicklyUnder Pressure


Bahut se Logon ko yah pareshani hoti hai ki vo durust Faisla nahin kar sakte, Jab Hamari Subah Aankh khulati Hai To hamarehan zahan mein din bhar ki routine ke Hawale se bahut Se sawalat Ki aik list hoti hai aur Hamen in sawalat ko mind mein rakhte Hue durust Faisla karna hota hai Magar Kuchh Logon Mein Khud aitmadi Nahin Hoti Jiski Bina per voh durust Faisla nahin kar paate, to in sab problems ko maddenazar rakhte Hue main aapko Kuchh tips dunga jinki badaulat aap durust Faisla kar Sakenge. 

 

No.1

 

Aapko jo bhi pareshani hai ya koi bhi question aapke zahan mein hai to aap sabse pahle usko samjny ki koshish karn or  use per gorr Karen kah es Mushkil Ki noyaet kya hai aur isko HAL karne ke liye mujhe kya karn pary ga. Aik list tyar karni apry gi aur iske sath aapko Kuchh maloomat ekatthe Karni hongi, Jo is Mushkil ko hal karne mein aapki madad kar sakti hai ya aapke liye madadgar sabit ho sakti hai, Yani aapko aik baqida homework karna hoga, masale Ko samajhna Hoga, aur Iske mutabik Iske hal ke liye sochana Padega .

 

No.2

 

Iske bad Agla marhla mansooba ya Faisla Karne Ka Aata Hai, Magar aapane Ek zaruri ehtityat yah rakhni ho gi kah kah jo haqaiq ka aap nay zahan mein Rakhe the unhen aapane mukmmal karne ke bad hi Faisla karna hai 

 

No.3

 

Iske bad aapane Ek list doston ya apne ghar ke family members ki banani hai jo Faisla karne mein aapki madad kar sakte hain, Magar ek baat Ka Khyal Rakhna Hai Ki aapane un logon Ka intekhab Karna Hai Jo aapke sath mukhalis Hon, Tez ya shatir dimag Ke Log Hamesha mukhlis Nahin Hote.

Jab aap ek Faisla kar Chuke to aapane future Mein takhlati Taur per Iske result Ko jaanchna, Hai yani ap nay yah dekhna hai ki aapane jo Faisla Kiya Hai yah positive ho ga. Ya  iska response positive aata hai ya negative aata hai, matlab ke iska milane wala result aapke Hath Mein Behtar ho ga yah nay hoga. Faisla ki vajah se aapke mukhalif natija nikale 

 

No.4

 

Aapane mazi ke tajurba se sikhana hai ,aur aapane zehan mein rakhna hai. Kah mazi mein jo Faisla kiya tha uska result kya nikala tha aapke Hak Mein Behtar tha ya nahin yah sab aapane sochana hai  Aur Iske bad aapane apni Faisla kar lena hai.

 

Note:- 


aiz zoori baat ye kah achay faislay ka bagar app kabhi taraqi nahi kar skty . traqi kay liye achi hiqmat e amli bohat zroori hoti hay. Ek durust Faisla aapko Aasman Ki bulandiyon Tak bhi pahuncha sakta hai aur Agar yah Faisla galt ho to yah aapko nakamiyon ke Taraf bhi le jata hai, Faisla karte hue aapane Hamesha positive pehlwanon ki taraf sochana hai aur aapane negative Nahin sochana, yani jo bhi aap Faisla Karen aap Hamesha Uske bare mein positive soche. Dusron ko nuksan pahuncha kar zindagi Mein Kabhi tarkki Nahin Ki Ja sakti isliye koshish karen ki aapke Hath juban aur faislon Se Kabhi Koi dusra shakhs aapse Nuksan Hasil na Karen to aapane koshish karni hai kah Apna ravaiya, apni Soch, Apne Talukat, aur apne faisle Hamesha masbat rakhne Hain . Agar aap apna ravaiya positive Rakhenge, masbat Faisla Karenge to aapko rohani taskin bhi Milegi, depression se nijaat Milegi aur Sabse Badhkar zameen per sukun Hoga aur iskay ilava satisfaction Hasil Hogi, aap apni Jindagi ko Hansi Khushi Gujar Sakenge aur Khuda ki taraf se aapki madad bhi Aaegi yani Khuda aapki hiqmat e Amali se Khush hokar aapki zindagi Mein Aane wali Tamam mushkilat Aur pareshaniyon Ko aapse Dur Kar Dega. 

 

  

No comments:

Powered by Blogger.